Thursday, February 8, 2007

sapna sach hota hai

Sapna sach hota hai…
Aankh khuli aur sach saamne !!!
Kayi baar khud se kaha hai “ kaash sapne sach ho jaye”
Sapne sach ho jaaye !!!
Lekin sach to kadva hota hai na…
Sapne toottey bhi hain…
Aapne toottey hue sapne ki awaaz suni hai
Maine suni hai
Dhobi ke darwaze par thaktakana
Mobile ki ghanti
Aur train mein…”bhaisaab aapka station aa gaya hai”
Sapna toota aur sachh saamne

Wednesday, February 7, 2007

70 mm ke sapney


Sapne aur sachh mein fark hai to sirf ek palak jhapakne ka
Aankh khuli aur pata chala station aa gaya…
Kayi aur sapne liye virar –churchgate local chal padi hai apne agle maqaam par
Ajeeb hai yeh sheher…
Kehte to hain bambai mein koi sota nahi…
Aur phir bhi yeh sapnon ka sheher hai
Kai sapne ek saath ek sadak par, ek train par savaar ho kar nikal padte hain
Kucchh sapne maqaam par pahunchte hain aur kkuch to rail ki patriyon mein hi apna dum tod dete hain
70 mm ki sapney ko kabhi aapne dekha hai
maine kayi baar dekha hai
gaiety cinema ke projector ki taraf le jaata hua film spool sapna hi to hai…
3 ghante ka ek sapna…
kisne kaha sapney khud ke liye hote hain
kambakhhat bambai mein sapne bhi black mein bhi bikte hain
main ek struggler se poocha sapne aur sacchh ki doori kitni hoti hai
jawab mein usne mujhe poocha … parde aur 30 rs ke stall ke pehle seat ki doori kitni hoti hai
aligarh se bambai ki doori to ek din mein tay kar li
stall ke pehle seat se parde tak ki doori tay karne mein arsa beet gaya…
aankh khuli aur pata chala station aa gaya…aankh khuli aur pata chala sapne ka interval ho gaya